Khichdi Express Ki Kahaani: Aaj hum aapke liye ek aise startup ki kahaani lekar aaye hain jisme ek yuva ladki ne sirf 1 saal ke andar Bharatiya dish khichdi ko bechkar ek karod ki company khadi kar di hai. Haan, yeh sunne mein bilkul bhi sach nahi lagta ki koi khichdi se kaise karod ki company bana sakta hai.
Contents Khichdi Express ki Kari Thi Shuruaat Khule Hue Hain Kai Outlets Karna Pada Tha Kai Challenges Ka Saamna Aaj Hain 50 Karod Ki Malik Khichdi Express Ki Kahaani Ka Overview Aam Pooche Jaane Wale Prashna: Khichdi Express Ki Kahaani Khichdi Express Ko Kisne Shuru Kiya Tha? Khichdi Express Startup Ka Kaam Kya Hai? More Read Jar Success Story: Kaise Bihar Ke Ladke Ne Sirf 12 Mahine Mein Bana Daali 2000 Karod Ki Company, Jaane Puri Khabar! Wow Momos Success Story: Sirf Momos Bechkar Is Shaksh Ne Bana Daali ₹2000 Karod Ki Company, Pade Puri Kahaani! Simone Tata Success Story: Ek Tourist Banke Bharat Aayi Mahila Ne 70,000 Karod Ke Business Ko Sambhala Par Jiske Baare Mein Aaj Aap Padhne Wale Hain, Unhone Sirf Khichdi Ke Dum Par Apne Business Ke Pehle Hi Saal Karodon Rupaye Kama Liye The. Yahan par hum Mumbai ke rehne wali Aabha Singhal ki baat kar rahe hain, jinhone bahut hi chhoti umar mein apna ek food business shuru kiya jo ki aaj ek karodon ka business ban chuka hai. Apne is business ko shuru karne se pehle Aabha ek model thi, par ab vo ek Women Entrepreneur ban chuki hain.
Khichdi Express Ki Kahaani Khichdi Express ki Kari Thi Shuruaat Saal 2019 mein Aabha Singhal apni dosto ke saath khichdi ke baare mein ek din aisi hi baatein kar rahi thi, jiske baad unhe khichdi se juda business shuru karne ka idea aaya. Isi karan unhone usi saal 2019 mein “Khichdi Express” naam se logo ko khichdi khilane ka business shuru kiya. Jiske through log apni manpasand kisi bhi tarah ki khichdi kha sakte hain.
Aabha ne apne is business ko sirf khichdi tak seemit nahi rakha, unhone khichdi ke alawa pakode aur bhi kai tarah ki anya dishes ko apne business mein shamil kiya.
Khule Hue Hain Kai Outlets 2019 mein shuru kiye “Khichdi Express” ko aaj Aabha ne bahut aage tak bada diya hai, abhi is samay pure Bharat mein Khichdi Express ke kai saare outlets hain. Jahan par aap ja kar Khichdi Express ki alag-alag varieties ki khichdi kha sakte hain. Iske alawa Khichdi Express aapko Swiggy aur Zomato par bhi mil jayega, jiske through aap online bhi inki khichdi ka order kar sakte hain.
Aabha ki is “Khichdi Express” ko sabse jyada boost 2020 ke corona mahamari ke baad mila tha jab jyadatar logon ne healthy khane ki taraf apna mukh mod liya tha.
Karna Pada Tha Kai Challenges Ka Saamna Khichdi Express ki founder “Aabha Singhal” ka jeevan bilkul bhi aasan nahi raha hai, bachpan mein unke mata-pita ka divorce hone ke karan unhe ghar ke bijaye school hostel aur boarding schools mein hi rehna pada tha. Jiske karan ghar walon ka pyar kabhi bhi Aabha ko nahi mil paya tha.
Kuch samay baad unhone bahar se MBA karne ka faisla kiya, taki aane wale samay mein vo apne aap ko support kar sake. Apni padhai poori karne ke baad jab Aabha apne ghar dobara pahunchi to wahan vo hi rozana ki ladai-jhagde hote rahte the, jiske karan unhone ek din apna ghar chhodne ka faisla bana liya.
Unhone sirf apne ghar se 2 jodi kapde uthaaye aur apne dosto ke flat mein rahne lagi. Aabha dikhne mein sundar thi isliye unhe kai saare modeling ke bhi offers mile, par unhe ye pata tha ki ye modeling ka kaam lambay samay ke liye nahi chal payega aur ye hi karan tha ki Aabha ne Khichdi Express ki shuruaat ki.
Aaj Hain 50 Karod Ki Malik 2019 mein shuru kiye Khichdi Express ko aaj Aabha ne ek 50 karod se jyada ki company bana diya hai, jiske karan aaj Aabha ek karodpati Women Entrepreneur ban chuki hai. Apne business ke pehle hi saal mein Aabha ne 1 karod se jyada ka revenue khichdi business se bana diya tha.
Is samay Aabha ka lakshya is business ko 100 karod rupaye ke paar pahunchane ka hai. Aapko ye bhi bata de ki is samay Khichdi Express har saal aage badhte hue apne 100 karod ke lakshya ke paas pahunchne wali hai. Aabha ne ye sab isliye hasil kar paya kyunki unhe khud par hamesha se vishwas tha.
Hum aasha karte hain ki is lekh se aapko Khichdi Express Story ki jaankari ho gayi hogi, is lekh ko apne dosto ke saath bhi share karein taki unhe bhi Khichdi Express Story ki jaankari ho sake
Register for My Upcoming Masterclass HERE
See You in the Live Masterclass
Top 25 FAQs
- Khichdi Express Story ke baare mein sabse pehla sawaal: Khichdi Express ko kisne shuru kiya tha? Jawab: Khichdi Express startup ko Mumbai ke rehne wali Aabha Singhal ne 2019 mein shuru kiya tha.
- Khichdi Express Startup ka kaam kya hai? Jawab: Khichdi Express ek restaurant-type startup hai, jisme aap alag-alag tarah ki khichdi ko kha sakte hain.
- Khichdi Express ke outlets kahan-kahan khule hain? Jawab: 2019 mein shuru kiye “Khichdi Express” ke kai outlets puri Bharat mein khule hain.
- Khichdi Express ki shuruaat kaise hui? Jawab: Saal 2019 mein Aabha Singhal ne apne dosto ke saath khichdi ke baare mein baatein karte hue Khichdi Express shuru kiya.
- Khichdi Express ki kis tarah ki dishes available hain? Jawab: Khichdi Express mein khichdi ke alawa pakode aur kai tarah ki dishes bhi available hain.
- Khichdi Express ke Founder, Aabha Singhal, ka childhood kaisa tha? Jawab: Aabha Singhal ke mata-pita ka divorce hone ke karan unka childhood aasan nahi tha, aur unhe ghar ke bahar ke schools mein rehna pada.
- Aabha Singhal ne apni education kahan complete ki? Jawab: Aabha ne MBA karne ka faisla kiya aur apni padhai complete ki.
- Khichdi Express ki shuruaat kis inspiration se hui? Jawab: Aabha ko khichdi se juda business karne ka idea unke dosto ke saath khichdi ke baare mein baat karte waqt aaya.
- Khichdi Express ka online presence kaise hai? Jawab: Khichdi Express Swiggy aur Zomato par bhi available hai, jisse aap online inki khichdi ka order kar sakte hain.
- Khichdi Express ne 2020 ke COVID-19 pandemic mein kaise grow kiya? Jawab: COVID-19 pandemic ke baad logon ne jyada tar healthy khane ki taraf apna dhyan diya, jisse Khichdi Express ko boost mila.
- Aabha Singhal ne apne business ke pehle saal mein kitna revenue generate kiya? Jawab: Aabha ne apne business ke pehle saal mein 1 karod se jyada ka revenue generate kiya.
- Aabha Singhal ka lakshya kya hai? Jawab: Aabha ka lakshya hai apne business ko 100 karod rupaye ke paar pahunchana.
- Khichdi Express ke outlets ka total count kitna hai? Jawab: Blog post mein outlets ke count ka specific number mention nahi hai.
- Khichdi Express ki dishes mein kaun-kaun si varieties available hain? Jawab: Khichdi Express mein khichdi ke alawa pakode aur kai tarah ki dishes available hain.
- Aabha Singhal ne apne ghar se chhodne ka faishla kyun kiya? Jawab: Aabha ko apne ghar mein rozana ki ladai-jhagde se pareshani hone ke karan unhone ek din apna ghar chhodne ka faisla kiya.
- Khichdi Express ki growth mein kaun-kaun si challenges aayi? Jawab: Blog post mein specific challenges ka zikr nahi hai.
- Khichdi Express ki popularity kis wajah se badhi? Jawab: Khichdi Express ki popularity 2020 ke COVID-19 pandemic ke baad badhi, jab logon ne health-conscious banne ka faisla kiya.
- Aabha Singhal ne apne business ko kaise start kiya? Jawab: Aabha ne apne dosto ke saath khichdi ke baare mein baatein karte waqt Khichdi Express start kiya.
- Khichdi Express ki dishes ko online kaise order kiya ja sakta hai? Jawab: Khichdi Express Swiggy aur Zomato par available hai, jisse aap online order kar sakte hain.
- Khichdi Express ki website ka kya URL hai? Jawab: Khichdi Express ki official website ka URL hai https://khichdiexpress.com/
- Aabha Singhal ne apne business ke growth mein kaise vishwas banaya? Jawab: Aabha ne hamesha apne aap par vishwas banaye rakhne ke karan apne business ko grow kiya.
- Khichdi Express ke menu mein kya-kya available hai? Jawab: Blog post mein menu ka specific mention nahi hai.
- Khichdi Express ki annual revenue kitni hai? Jawab: Blog post mein FY 2023 mein 50 crore ka revenue mention hai.
- Khichdi Express ki success mein COVID-19 ka kya role tha? Jawab: COVID-19 ne logon ko health-conscious banaya, jisse Khichdi Express ko boost mila.
- Khichdi Express ki future plans kya hain? Jawab: Aabha ka lakshya hai apne business ko 100 karod rupaye ke paar pahunchana